Monday, 28 September 2015

Haji Syed Abdur Razzaque Noorul Ain Ashrafi ki Auladen

Noorul Ain Ki Shadi Aur Aulad
Jab Syed Ashraf Jahangeer Simnani Syed Abdur Razzaq Noorul Ain ki Zahir o Batini Tarbiyat farma chuke aur unhain uloom o funoon se Arasta farma diya to aap unki Shadi Ki fikr huwi chunanche Aapne Hindustan ke Sadaat ke Gharano me Unke Liye talaash shuro ki aur un khawadon kee Nasb ki Tahqeeq bhi aap ke paas pahle se hi Sadaat ke Shajre the kyunki Aap ne Aek kitab "Ashraful Ansaab" ke Naam se Tahreer ki thi. Jis me Hindustan ke Rahne Wale tamam Sadaat ke Shajron ki tahqeeq kit hi isliye aapko dushwari nhi huwi aur Aap ne Aek Sahihun Nasab Syed Gharane me Noorul Aen ki Shadi kar di. Syed Abdurazzaque Ke Panch Sahibzede huwe. Unke Naam Yeh Hain:
1. Hazrat Sayyed Shamshuddin,
2. Hazrat Sayyed Hasan,
3. Hazrat Sayyed Hussain,
4. Hazrat Sayyed Farid,
5. Hazrat Sayyed Ahmed (Radiyallahu Anhum)."
Yeh Panchon Shahibzade Ilm o Fazl aur Taqwa o Parhezgaari me Apni Misal Aap the kyuki Inki Tarbiyat Do Azeem Hastiyon yani Syed Ashraf Jahangir Simnani aur Syed NoorulAin ki Zere Nigrani huwi thi. Jab tarbiyat karne wale aese hoon to phir tarbiyat pane walo ke Maqaam ka Andaza koun kar sakta hai.
Jis Waqt Hazrat Sayyedna Makhdoom Sayyed Ashraf (Radiyallahu Anhu) Ne "NoorulAin Apna Sajjaadanashin Banaaya To Aapse Ye Bhi Farmaya ki Apne Farzando Ko Bhi Khilaafat Va Sajjadagi Se Sarfaraz Karna."
          Hazrat Sayed Shah Hasan Qattal (Radiyallahu Anhu) Ko Hazrat Sayyedna Abdurrazzaq "Noorul Ain"(Radiyallahu Anhu) Ne "Apna Sajjadanashin Banaaya Aur Aaj Bhi Aapke Aulad o Amjaad Me Aastana-E-Aaliya Ki Sajjadagi Qaayam Hai."
Mahboobe Yazdani Ki Duaa
Noorul Aen ke Aulad ke Haque me
Ek Martaba Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simnani Radiyallahu Anhu Ne Hazrat Sayyedna Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Se Farmaya Ki…
“Mene Apne Aap Ko Tum Par Mukammal Nisaar Kar Diya Aur Tumse Koi Dareg Na Ki Aur Tumhari Aulad Ke Haq Me Allah Ta’ala Se Ye Bhi Darkhwast Ki He Ke Hamesha Maqbool O Mas’ood Rahe”
“Aur Tumhari Aulad Ke Har Tabqe Me Ek Rijaalul Gaib Aur Majzoob Hoga Aur Ek Aisa Shakhs Hoga Jiske Andar Meri Haalat Utar Aaegi”
Hazrat Sayyedna Sarkar Makhdoom Paak Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke “Buzurgo Ko Roohe Unki Aulad Ke Sath Rehti He”
      (Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)

Mazeed aapn Hazrat NoorulAin Se Farmaya Ki…“Mene Tumhari Aulad Ko Khazana E Ilahiya Me Sharik Kiya Hai Aur Haq Ta’ala Se Darkhwast Ki Hai Ki Agar Abdur Razzaq Ki Aulad Qaane’a Ho Yaani Duniya Se Be Ragbat Ho To Unko Kisi Ka Mohtaj Na Karna. Adna Si Tavajjoh Se Unke Kaam Ban Jaaenge”
Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simani Radiyallahu Anhu Ne Farmaya Ke “Farzanadane Noorul Ain Azizul Vujud Honge. Main Hayaat o Mamaat Me Unke Sath Hoon Uske Baad Aapne Ye Do Sh'er Padhe” (Jiska Tarjuma Ye He)
 “Jo Shakhs Aulia Ko Murda Samajhta He Wo Khud Murda He. Aulia Zinda Hai. Ashraf Zinda He, Murda Nahi. Jaha Se Use Pukaroge Pahonch Jaaege”
(Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)

Hazrat Abdur Razzaq Noor Ul Aain Farmate Hain Ke Ek Roz Hazrat Mahboob-E-Yazdani Par Ajeeb Kaifiyat Taari Thi Saathiyo Se. Basharat Aamez Baaten Farma Rahe They Ussi Dauran Meri Taraf
Tawajoh Ki Aur Dekhte Rahe Phir Basharat Ke Saath Farmaya: Maine Apna Sab Kuchh Tum Par Nisaar Kar Diya Hai Koi Juzw Tum Se Bacha Kar Nahin Rakkha Aur Tumhare Farzando'n Ke Liye
Haq Ta'ala Se Darkhwast Ki Hai Ke Hamesha Mas'ood Wa Maqbool Rahen Aur Yeh Ke Un Mein Har Tabqe Mein Ek Rijalul Gaib Mein Se Aur Ek Majzub Hoga.
(Lataaif-E-Ashrafi Jild 7 Safa No.177)

Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan Syed Makhdoom Ashraf Jahangeer Ne Farmaya Ke Hum Ne Abdur Razzaq Aur Uski Aulad Ko Khazana E Ilaahi Se Mila Diya Hai Agar Iski Aulad Qana'at Ikhtiyaar Karegi Toh Hum Ne Baargahe Haq Mein Dua Ki Hai Ke Khabhi Kisi Ke Mohtaj Na Honge.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.175)

Makhdoom Paak Ne Noorul Aain Ke Haath Mubarak Ko Pakad Kar Farmaya Ke Baba Haji Abdur Razzaq Hum Ko Apne Se Juda Na Jaano.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.202)

Lataife Ashrafi ki Ebaaraton se Pata chalta hai ki Syed Ashraf Jahangeer Simnani ne Syed Abdur Razzaq NoorulAin aur Unki Aulad ke Bare me Bahut Sari Bisharaten di aur Unke Haq me Duayen Farmayin dar Haqiqat yeh unki Duaon hi ka Nateeja  hai ki Aulad NoorulAin ki Aulad me se Aese Jayyed Aur Kibar Sufiya Paida huwe Jinhone Apne Ilm o Amal Taqwa o Parhez gaari aur Ruhaniyet ki wajah se duniya me Naam paida kiya aur Ilmi o Deeni Khidmat Anjam diye In Shaksiyaton me:
Mahboobe Rabbani Ala Hazrat Ali Husain Ashrafi Miyan RadiAllahAnh  
Raisul Mutakallameen Hazrat Syed Ahmad Ashraf Alaihirrahma
Muhaddise Azam Hind Syed Muhammad Ashraf Alaihirrahma
Qubbe Rabbani Syed Muhammad Tahir Ashraf Alaihirrahma
Ameer e Millat Hazrat Syed Amir Ashraf Ashraf Alaihirrahma
Mujahide Dauran Allama Syed Muzaffar Hussain Ashraf Alaihirrahma
Sarkar e Kalan Syed Mukhtar Ashraf Alaihirrahma
Ashraful Ulama Syed Muhamad Hamid Ashraf Alaihirrahma
Shaikhe Azam Syed Muhammad Izhar Ashraf Alaihirrahma
Hakeem e Millat Syed Qutubuddin Ashraf Alaihirrahma
Baba e Millat Syed Tanveer Ashraf Ashrafiyul Jilani Alaihirrahma wagairah Ke Asma Qabil Zikr hain Jinki Ilmiyat o Rohani aur Tableegi Khidmaat ko Dekh kar Andaza Hota hai ki Syed Ashraf Jahangeer Simnani Ki Duaayen NoorulAin ki Aulaad ke Bare me Kis Tarah Puri Huwi aur Unka Asar Aaj bhi Unki Aulaad me Baqi hai aur In Sha Allah Qiyamat tak Baqi rahegaa.

Mera Dushman
Hazrat Mehboob-E-Yazdani Farmaya.
Buzurg'zade Buzirgon Ke Tariqe Per Kam Paaye Jaate Hain Aur Mai Aysa Buzurg'zada Rakhta Ki Buzurg'zada Nahi Balke Uska Kaam Buzurg Payda Karne Ka Hai  Aur Log Aoulad Ko Apni Pusht Se Payda Karte Hain Maine Noor-Ul-Ayn Ko Apni Aankhon Se Payda Kiya Hai Baa-Wajud Yeh Ki Karabat Ki Nisbaten Rakhta Hoon mazeed Aap Farmate hain ki "Jo Hamare Farzindon ka Dost hai woh Hamara Dost aur Jo hamare Farzindon ka Dushman woh hamara Dusman aur Jo Hamara dushman woh Jumlaa Khandane Chisht aur Doodman e Ahle Bahisht ka Dushman hai".
       (Lataif E Asharafi Jild 3)

Wisal Mubarak
Syed Abdur Razzaque Noorul Ain ne 7 Zilhajje 872 Hijri me wisal faramya. Mutabar Riwayat se pata chalta hai ki Syed Abdur Razzaq Noorul Ain ne Apni Zindagi hi main Apne Sahibzadgaan ko tabarruk aur Mukhtalif Ilaqoon ki Wilaayat ataa farma dee thi aur unke liye Maqaam tajweez kar diye the taki who apne apne maqaam pr rahte huwe tableeg e deen ka farizaaa adaa kar saken chunanche Bade Sahibzaade Syed Sha Hasan ko Apna Jaan Nasheen banaya aur wilayat Kichhauchha Ataaa ki dosre Sahibzaade Syed Sha Hussain ko Wiladat e Jaun poor Ataa ki teesre Sahibzaade syed Sha Ahmad ko Wiladat e Jais (Rae Bareily) Ataa ki aur Chote Sahibzaade Syed Shah Farid ko Wiladat Bara Banki Ataa ki isi tarah aapne Taman Sahibzaadgaan ko Elaqe ataa farmaye lekin Apna Jan Nasheen Syed Shah Hasan hi ko Banaya.
(Hayat Muhaddis e Azam Hind)

(Urs: - 7, Zilqa’ad, Mazar: - Kichhouchha Sharif
Mazar Sharif: - Aapka Mazar Sharif Hazrat Makhdoom Paak (Radiyallahu Anhu) Ke Gumbad Sharif Ke Andar Purab (East) Ki Jaanib

 (Sahaaif E Ashrafi/Part-2/Page Nk.54 to 61)

No comments:

Post a Comment