Saturday, 19 September 2015

The Peer Syed Makhdoom Ashraf Hazat Alaul Haque Pandawi



Murshid E Makhdoom E Simna Qutb E Bangaal
Shah Alaaul Haq Pandawi
Radiyallahu Anhu

Qudwatul Aarifeen, Zahdus Salikeen Rahnumaye Ahle Yaqeen Peshwaye Buzurgaane Deen Hazrat Shaikh Alaaul Haque Ganj Nabat apne waqt ke jaleelul qadr Buzurg, Sahibe Taqwa w Ruhaniyat aur Muqtada e Arbaab e Wiladat the Yani Ilm w fazl, Zuhd o Taqwa w Parhezgaari me apni missal nahi rakhte the. Tariqat me Aap Hazrat Siraj Uddin Usman Al-Maroof Akhi Aainaa e Hind Rahmatullahi Alaih ke Mureed aur Khaleefa the Shaikh e Muhaqqiq Abdul Haque Muhaddis Dehlvi Alaihirrahma ne Apni Kitab Akhbarul Akhyaar me Aap ke Tazkire me likha hai woh farmate hain:
Ibtadaai Zamane me Maaldaar aur Ghani hone ki wajah se Nihayat hi Shan o Shaukat se rahaa karte the magar jab Siraj Akhi ke Mureed huwe to Sab kuch chhod (Tark Karna, Munh Pherna) kar Fakeerana aur Mastanaa waar Gosha Nasheeni Ikhtiyar kar li.
(Ref. Akhbarul Akhyaar translated by Maulana Sub'han Mahmood)

Aap ne Apne Shaikh Akhi Siraj Aainaa e Hind ki Bahut Zyadah khidmat ki. Din, Raat, Safar o Hajar me unke sath rahe aur fuyooz o barkaat Hasil kiye jab Safar par jate to aap ka saamaan apne sar par rakh kar milon paidal safar karte aur unki khidmat me kisi qism ki kami nahi aane dete the. Shaikh aapki khidmat se Bahut khush huwe aur jo kuch Ruhani Nimaten unhain apne Shaikh Hazrat Sultanul Mashaikh Nizamuddin Mahboobe Ilahi se mili theen woh sab ki sab Unhone Aapko Ataa farmaa deen Aur Rhaniyat ke Azeem mansab par faiz farma diya. Shaikh Alaauddin Ganj Nabat ne apne Ilm w Ruhaniye ke zariye Bangal aur Bihar me Rushd o Hidayat ka Silsila Shuru kiya aur tishnagaane Marifat ko sairaab kart e rahe. Aapka Silsilaa Nasb Al-Mulaqab Saifullah Hazrat Khalid Bin Waleed RadiAllahu Anh se milta hai. Sahibe MiratulAsrar ne Aapki Shan o Azmat bayat karte huwe likha hai:
"Aap Ke Kamaalaat ka Andaza es baat se ho sakte hai ki Meer Syed Ashraf Jahangeer Simnani Jaise Shahbaaz aur Buland Parwaz Hazrat Khawaja Khizr Alaihissalam ki Rahnumai se Mulk Khurasaan Simnan ki Baadshahi chhodkar Aap ki Khidmat me Pahunche aur Husn e Tarbiyat se Martaba e Takmeel o Irshad par Pahunche Bawajood ki Auliya e Kibaar se Aapko Raste me Mulaqaat huwi lekin sab ne yahi farmaya ki Tumhara Murshid Bangaal me hai Wahaan jaao"
Shaikh Aalauddin Ki Khankah Garddbon, Faqeeron aur be sahara logon ki Ummedon ka Markaz thi Jahaan har waqt Hazaron ki tadaad me log hazir rahte hote aur daaman e Muraad bhar kar jate the aapki Khanqaah ka Kharch Badshah e waqt ke Kharch se bhi ziyadah tha Baadshah ko es par bahut ziyadah Hairat hoti thi. Aek Martabaa Baadshah ne kaha ki Shayed Unhone Baitul Maal ke Afsar se koi Saaz baaz ki hai Jab hi yah itnaa kharch karte hain phir usne Hukm diya ki Aap is Shahar se Nikal jayen aur Sunaar Gauon me rahen. Aap Fauran apne Mureedon ke Hamraah rawaana huwe aur Sunaar Gauon me Iqaamat Ikhtiyaar kar li aur Khadim se farmaya ab tak jitna Rozana Jitna Kharch karte the ab isse dugna Kharch karo Khadim ne Hukm ki Tameel ki aur aap ke langar ka Kharch dugna ho gya. Esi tarah majmaa lagaa rahta tha log aate the aur apni muraaden pate the lekin bazahir koi zariya e Muaash nazar nahi aata tha. Haqeeqat me aapko dast gaib tha jis ki wajah se aap be andaza kharch karte the aur phir kabhi kami nahi hoti thi aap Makhlooq ke bajaye Khaliq par bharosa karte the. Yahi wajah thi ki aap ko itminaan e Qalb aur tawakkal ki daulat hasil thi. Aap Maqam e tawakkal par Faa'iz the isliye har waqt Allah ki taraf Mutawajjah rahte the.
Uloom Marifat me aapka martaba nihayat hi buland tha kabhi kabhi josh ke Aalam me Syed Ashraf Simnani Se farmate the ki…
"Aayaate Quraani ki tafseer, Fusoolsul Hukam aur Fatoohat e Makkiya ke Nukaat mujh se Hasil kar lo main Aek Darakht hoon jise hilaao to tumhain Azeeb o Ghareeb Phal milenge".
(Ref: Hayat Syed Ashraf Jahangeer)

Shaikh Alaauddin Ganj Nabaat ke Irshad e Paak se Pata chalta hai ki woh tariqat me Ilmiyat o Ruhaniyat ke kitne Buland Maqaam par Faa'iz the.

Hazrat Sayyedna Makhdoom Alaul Haq Pandvi Chishti Radiyallahu Anhu Gousul Aalam Hazrat Sayyedna Makhdoom Ashraf Jahangir Simanani Radiyallahu Anhu Ke Pir O Murshid Hain Aur Aaina E Hind Hazrat Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti Radiyallahu Anhu Ke Khalifa He Aur Ye Aaina E Hind Hazrat Sayyedna Makhddom Sirajuddin Akhi Chishti Radiyallahu Anhu Sultanul Mashaikh Hazrat Sayyedna Khwaja Nizamuddin Aulia Mehboob E Ilahi Radiyallahu Anhu Ke Chahite Khalifa He.
(Ref: Sajra Aalia Qadri Chishtia Ashrafi)

Urs: - 23, Rajabul Murajjab, Mazar: - Pandawa Sharif,

(West Bengal near Katihar India)

No comments:

Post a Comment