GAUS UL AALAM MEHBOOB E
YAZDANI
MAKHDOOM SULTAN SYED ASHRAF
JAHANGIR SIMNANI ALAIHIR RAHMA
KI SO (100) SAALA
HAYAT E MUQADASA PAR
EK IJMALI NAZAR
Silsila Ashrafia ke Baani Hazrat Qutubul
Aqtab Gausul Aalam Mahboob e Yazdani Makhdoom Syed Maulana Auhaduddin Sultan
Ashrafi Jahangir Simani Quddus Sirrahu ki Zaat Grami Agarche Kisi Rasmi
Ta'Aaruf ke Muhtaaj Nahi hai Magar Qarieen ke zauqe Basarat aur apne is risaale
ki Sa'Aadat ke liye ham unke zikr khair se Musharraf karte hain.
Walid Majid ka
Name Mubrak
Sultan Syed Ibrahim Noor Bakhshi Samani
(King of Simnan, Iran)
Sulatn Syed Ibrahim Alaihir Rahma (723
Hijri) Hadde Darja Kareemun Nafs aur Insaniyat Nawaaz the. Unka Taqwaa aur
Ikhlas e Bil Amal ka Jazbaa Shahr e Simnan me Zurbul Misl tha. Deen se Unki
Ghair Mamooli Wabistagi ki yah Aek Tabnaak Misal hai ki Unke Ahd (Government)
me Hazaron Tishnagaane Iim dafn Manzile Maqsood par Pahunche aur Ulama o
Mashaikh ke liye Unhone hamesha Apni Aqeedat ka Daaman phailaye Rakha.
Sultan Ibrahim Alaihir Rahma ne madarise
Islamiya ki Sarparasti ke Sath Khankahon ki tamer o Taraqqi me bhi Numaya Hissa
liya, Chunanche Simna ke Mash'hoor Khankah Sakkakiya ki dubara Tameer o Tausee
sultan Ibrahim hi ki daste Karam se howi Jisko Hazrat Shaikh Alaauddaulaa
Simnani Alaihir Rahma ne Aek Arse tak Apne Aurad o Wazaaif aur Rushd o Hidayat
se Rawannaq Bakhsi. Khankah Mazkoora par Rozana so Dinar (100) kharch hote the.
(Lataife Ashrafi Jild 1 Page 2, Jild 2
Page 90-91, Ghausul Alam Page 12)
Walida Majida
Hazrat Bibi Khadija Begam Bint e Hazrat
Khwaja Ahmad Yaswi
Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi Alaihir Rahma
(562 Hijri-1166 AD.) Tukistan ke Silsilaa e Khwajgaan ke Mash'hoor Buzurg the
aur unka Shumaar Muqtadaa e Kamileen me tha. Sahibe Tarkhe Mashaikhe Chisht ne
likha hai ki Woh Ataaliswi ke Naam se Mash'hoor the. "Ataa" Turkey ki
Zuban me Baap ko Kahte hain.
(Tarikhe Mashaikh e Chist 216)
Aur Turkishtan ke Muqaam Yasi ki Nisbat
se Yaswi Kahlaye. Hazrat Khawaja Ahmad Yashwi Alaihir Rahma, Hazrat Khwaja
Yusuf Hamdani Alaihir Rahma ke Mureed o Khalifaa the. Jinke Bare me Nufhatul
Ins ke Alfaz yah hain ki…
امام عالم وعارف
ربانی صاحب الاحوال والمواھب الجزیلۃ
والکرامات والمقامات
الجلیلہ
Hazrat Khawaja Yousuf Hamdani ke Char
Jaleelul Qadr Khalifa the, Un me se Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi Alaihirrahma
Tableegh o Asha'at e Deen ke Khatir Turkistan pahunche aur Apne Silsila e
Aradat o Bait ko Khoob Phailaya.
(Nufhatul Ins Page: 337-339, Khazeenatul
Asfia Page: 531-532)
Syed Ashraf Jahangir Simnani Radi Allahu
Anh Bin Syed Muhammad Ibrahim bamuqaam
Simnan (Kharasaan) jo unke walid ke zere Hakoomat tha paida huwe unki Walida
Majid Khawaaja Ahmad Yaswi Alaihirrahman kee Beti (Doughter) the.
(Syed Ashraf Jahagir Simnan ki Ilmi Dini aur Ruhani Khidmat ka
Tahqeeqi Jaizah Page No. 04)
Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Simani
RadiAllahu Anh Saaton (Seven) Qiraton Ke Hafiz the aur unhone apni taleem 14
saal ki Umr me Khatm kar li thi. Tasawwuf se Shagf unhain Kusha kusha
Alaaudaula Simnani Alahirrahma ki Khidmat me le gyaa jo apne waqt ke mashhoor
sufi the. Unhi kee khidmat me woh aksar hazir rahte the apne walid ke wisal pr
woh riyasat ke waris huwe magar thode hi dino baad apne bhai Muhammad Aaraf ko
Takht supurd karke Saltanat se dast bardaar ho gye aur Hindustan ki taraf chal
pade jis ki unhain Khawab me hidayat ki gyi thi Mawaraunnahar se hote huwe woh
Bukhara aur Samaqand gye wahan se Aochh Pahunche Jahan unki Mulaqaat Makhdoom
Jalal Uddin Bukhari se huwi jo jahan jahaniya Gasht ke Laqab se Mashhoor hain.
Musalsal aur Door o Daraz ke Safar ke baad Jis dauraan Aap Delhi, Sindh o Ganga
ke Maidani Elaqe aur Bihar, Bangal, Sunar Gaun (Jo Dhaka ke Nawaah me hai) bhi gye.
Anjaam kaar aap RoohAbaad (Kichhichha Sharif Ka Purana Naam) Faizabad se 53
Meel (Miles) par Aek Gauon me Muqeem ho gye. Kichhauchha Sharif me Sakunat
Ikhtiyar karne ke Baad Kuch din rah kar phir Aap Rooye Zameen ki Sair o Sayahat
ko Nikle. Es Martaba Aap Makka Sharif, Madina Sharif, Karbaal Muallah, Najaf
Ashraf, Turkey, Damishq, Baghdad, Kashan, Simnan, Mash'had wagairah se hote
huwe Barahe raasta Multan o Delhi RoohAbaad Pahunche Anjaam Kaar Unhone wahin
28 Muharramul Haram 408 July 1405 A.D me Wafaat paayi aur Apni hi Khanqaah me
Suparde Khak kye gye.
(Urdu Dairah Mu'aarif Islamia Part 02)
Hazrat Ghausul
Aalam Mahboob Yazdani
Makhdoom Sultan
Syed Ashraf Jahangir Simnani Quddus Sirrah Ki So Saala
(Hundred Years) Hayat e Mubarkah Par AeK Ijmali Nazar
708 Hajri
Paidaish Ki Saal Hai Aur Sirf 05 Saal Ki
Umr Mein Qirate Sab'aa Mein Quran Kareem Hifz Kiya.
722 Hijri
Takmeel E Uloom O Funoon 14 Saal Ki Umr
Mein.
723 Hijri
Takht Nashini (King of Sinmnan Iran)
Walide Muhtaram Ke Wisal Ke Baad.
Hazrat Sultan Syed Makhdoom Ashraf, Gaus
Ul Aalam Mehboob E Yazdani Ne Khidmat E Babarkat Walidah Majidah Mein Haazir Ho
Kar Ijazat Talb Kee Ki Agar Hukm Ho To Main es Saltanat E Duniya Ko Tark Kar Ke
Faqr Ikhtiyar Karun Aur Badshat Mulke Aakhirat Haasil Karun, Hazrat Ki Walidah
Ne Farmaya "Ay Farzand Tum Paida Bhi Nahin Hue They Usse Pehle Hamare
Jadde Amjad Sultan Ul Aarifeen Khwaja Syed Ahmad Rahmatullah Alaihe Ne Khwab
Mein Basharat Di Thi Ke Tum Ko Aisa Farzand Nasib Hoga, Dunia Uski Aaftab E
Wilayat Ki Chamak Se Roshan Ho Jaayegi Aur Uski Noor E Hidayat Ki Badolat Jahan
Se Gumrahi Mitjaayegi.
(Sahaefe Ashrafi Safa Jild 1 Safa No.73)
733 Hijri
Tarke Saltanat (Badshahat Chhodna)
Muddate Khilafat 10 Saal.
735 Hijri
Baiat O Khilafat Simnan Se Pandwa
Shareef Ka Faasla 2 Saal Mein Tamam Hua. 735 Hijri Se 741 Hijri (6 Saal) Pehla
Qiyaam Pandwa Shareef.
742 Hijri
Rawangi Pandwa Shareef Se.
742-43 Hijri (Ahde Saltanat Tuglaqya)
Jonpur Mein Pehli Aamad. Yaha'n Se
Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Program Banaya Aur Ek Arsaa Tak Bilade Sharqiya Wa
Mamalike Islamiya Ki Sair Farmate Rahe Jaziratul Arab Ke Alawa
"Misr" Rom" Shaam" Iraq" Aur Turkistan Ke
Mukhtalif Ilaqo Aur Shahron Mein Bhi Aapka Guzar Hua Aur Us Waqt Ke
Jumla Mashaikhe Izam Aur Auliya E Kabaar Se Aapne Fayuz Wa Barkaat Hasil Kiye.
750 Hijri
Mein Haji Nizam Yamni Moallif
"Lataif E Ashrafi" Hazrat Gaus Ul Aalam Ke Silsila Iradat Mein
Daakhil Huwe Jo Hazrat Ke Safar O Hazr Mein Aakhri Dum Tak Saath Rahe.
758 Hijri
Hindustan Wapsi Mamalike Sharqiya Ki
Pehli Sayahat Ka Zamana Pandra (15) Saal Qayaas Kiya Gaya Hai. Bilaad e Sharqiya
Ki Wapsi Ke Baad Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Dusri Baar Safar Pandwa Shareef
Ikhtiyar Kiya Aur 04 Saal Tak Apne Peer O Murshid Ke Fuyuz O Barkaat Hasil
Farma Kar Harmain Shareefain Ki Ziyarat Ka Do Baara Qasd Kiya Issi Safar Mein
Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Geelan (Jilaan) Pahonche Aur Apne
Bhanje Syed Abdur Razzaq Noorul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Farmaya Yeh Hijri 764-65 Ka Waqia Hai.
764 Hijri
Ke Safar Ke Dauran Aap Apni Khala Zaad
Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Gilan Pahonche Aur Apne Bhanje Hazrat Syed Abdur
Razzaq Noor Ul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya.
(Ref. Hayat E
Gaus Ul Aalam Safa No.93)
768 Hijri
Hindustan Ko Dubara Wapsi (Mamalike
Sharqiya Ki Dusri Sayahat Galiban 10 Saal Par Mushtamil Hai).
770 Hijri
Mansab E Gausiyat Par Faiz Hona Bamuqam
Gulbarga Shareef.
782 Hijri
Mehboob E Yazdani Ka Khitab Mila Bamuqam
Rooha Baad Kichauchha Shareef Ussi Saal (Year) Mein Hazrat Gaus Ul Aalam Ne
Teesri Baar Apne Murshid Ka Niyaz Hasil Karne Ki Garaz
Se Pandwa Shareef Ka Safar Kiya. Jab Aap Qasba Muneer Sharif Bihar (Near Patna) Pahunche to Makhdoom e Bihar Hazrat Shaikh Sharfuddin Yahiya Muneri Alaihirrahma Ka Intiqaal Ho chuka tha. Aap Ne Hazrat Shaikh ki wasiyat ke Mutabiq Namaze Janazah Padhai aur Hazrat e Shaikh ke Fuyooz e Ruhani se Malaa Maal hokar Pandwa Sharif Ki Janib Rawana Huwe.
Se Pandwa Shareef Ka Safar Kiya. Jab Aap Qasba Muneer Sharif Bihar (Near Patna) Pahunche to Makhdoom e Bihar Hazrat Shaikh Sharfuddin Yahiya Muneri Alaihirrahma Ka Intiqaal Ho chuka tha. Aap Ne Hazrat Shaikh ki wasiyat ke Mutabiq Namaze Janazah Padhai aur Hazrat e Shaikh ke Fuyooz e Ruhani se Malaa Maal hokar Pandwa Sharif Ki Janib Rawana Huwe.
793 Hijri
Tameer e Aastana e Aaliya Ashrafia
(Madda e Tarikh "Arshe Akbar hai)
810-803 Hijri
Pandawa Sharif me Aakhri Baar Hajri aur
Qiyam ( Baad e Wafat Peer o Murshid aur Ba waqt Jan Nashen e Peer Zada Hazrat
Qutub Aqtab Noor Qutub Aalam Pandawi)
804-805
Haijri Jonpur Mein Dusri Aamad (Ahad
Sultan Ibrahim Saljoqi)
808 Hijri
Mustaqil Qiyam RoohAbad ta Wisal E Mubarak
28 Muharramul Haraam 808 Hijri
.
Mazaar Sharif Roohabad Kichauchha
Shareef India.
(Ref. Gaus Ul
Aalam & Sahaefe Ashrafi)
No comments:
Post a Comment