Monday 28 September 2015

Amad e Makhdoom Ashraf jahangir Simanai aur Karamaten

Aamad E Makhdoom Ashraf Jahaan'gir Simnani Ki Khabar
Ba-Zubane Sultanul Hind Khwaja Gharib Nawaz

Risala Ghousiya me Sultan Ul Hind, Khwaja E Khwajgaan, Hazrat Khwaja Moin-Ud-Din Hasan Chishti Ajmeri Alayhirrahmato Wa Ridwaan Tehreer Farmate Hain..!!

"Mere Silsile Me Ek Ghous "Jahaan'geer" Paida Hoga Aur Woh Tarakki Ke Saath Mere Silsile Ko Jaari Karega...!"
(Ref: Risala Ghousiya)

Huzur  Ashraf  Simnaa  Ke Naam  Ka Sadqa
Hamari Jholiya Bhar Dijiye Ya Garib Nawaz

Aabad Rahe Ashraf Kaa Chaman
Ya Khwaja Moeen-Ud-Din Hasan

Khandan e Ashraf e Simna
 Aur
 Mahmood Ghanavi
Mahboob E Yazdani Syed Makhdoom Ashraf Ne Rasala "Ashraf Ul Fawaid" Mein Farmaya Hai Ke Mere Khandan Ki Azmat Aur Shaan Buland Hai Yaha'n Se Tasawwur Karna Chahiye Ke Mahmoud Ghaznawi Jaise Badshah Hamare Buzurgon Ke Ghulam Zaado Ne Saltanat Aur Badshahat Ki Hai.
(Ref: Ashraf Ul Fawaid")

Aadab E Peer O Murshid
Hazrat Makhdoom Ashraf Shah Jhahangir Simnani Radi'allahu Ta'ala Anhu Farmate Hain,
"Bargah E Ilahi Me Maqbuliyat Ka Mera Darjaa Agar Intehayi Bulandi Par Pahunche Ki Arshe Mo'alla Tak Mera Sar Jaye Tab Bhi Apne Murshid E Kamil Ke Aastane Par Hi Mera Sar Hoga.
(Seerat Fakhrul Aarefeen, 186)



Karamaat
Makhdum E Paak Ka Ek Budhe Lashkari
Ko Arfaa Ke Din Haj Ko Bhejna

          Peer Ali Baig Ek Muheem Ke Waste Lashkar Liye Ja Rahe The, Hazrat Mehboob E Yazdaani Ki Baargaah Me Dua Ki Darkhwast Ki, Aap Ki Dua Se Unko Fateh Haasil Huwi. Jab Fateh Ke Baad Peer Ali Baig Wapas Loute, Un'ke Lashkar Me Ek Budha Shakhs Tha Jo Saal- Haa-Saalo Se Ghaans Laya Kerta Tha. Us Budhe Shakhs Ne Nihaayat Hasrat Ke Sath Ye Kahaa Ki, "Aaj Youn E Arfaa Hy..!! Haaji Apne Qaaba E Maqsud Ko Pahuche Hoge. Kya Achha Hota Ki Mai Bhi Es Doulat Se Sarfara Hota..!!" Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Ye Sun Ker Us Budhe Shakhs Se Farmaya, "Kya Tum Haj Kerna Chahite Ho..?" Usne Arz Kiya, Agar Ye Doulat Nasib Hoti Tou Kya Hee Achha Hota. Hazrat Ne Farmaya.. "Aao" Woh Shakhs Hazrat Ke Kareeb Aaya. Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Dast E Mubarak Se Isharah Kiya Aur Farmaya.. "Jaao" Bil-Four Es Farman Ke Woh Shakhs Qaaba Sharif Pahuch Gaya. Aur Manasiq E Haj Ada Ki Aur 3 Roz Tek Qaaba Sharif Me Raha Ek Din Us Ko Dil Me Khayal Aaya Ki, Kaash Koi Shakhs Mujh Ko Mere Watan Pahucha Deta. Es Khayal Ke Aate Hee Us Ne Hazrat Mehboob E Yazdaani Ko Wahaa Hazir Dekha..!! Hazrat Ko Dekhte Hee Wo Fouran Aap Ke Kadmo Me Gir Pada Hazrat Mehboob E Yazdaani Ne Farmaya Ki "Jaao" Us Ne Apne Sar Uthaya To Woh Apne Ghar Watan Me Moujud Tha.
    (Ref: Lataif e Ashrafi – Sahaife Ashrafi)

Gustakh-E-Ashraf Ka Anjam
Hazrat Makhdum Sultan Syed Ashraf jahaangeer Simnani Radiallaho Anho Ka Ma'amul Tha Ke Aap Namaz-E-Jum'aa Ko Safar Wa Hajar Me Kabhi Tark Nahi Farmate The Jab Tek Ke Aastana-E-Roohabaad Me Jame'a Masjid Taiyaar Nahi Ki Thi., Ba-Maqam Kasbah Sambhuli Jo Aastana-E-Roohabaad Se 7 Kows Ke Faasle Per Tha Namaz Padhne Tashrif Le Jate The. Es Qasbah Me Oulmah Kasrat Se Rehte
The. Baa'd Ada E Namaz-E-Jum'aa Wahaan Ke Mullaon Aur Talbah Me Se Ek Shakhs Ne Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Maslah Ilm-E-Kalam Pesh Kiya Ke Bandah Ikhtiyar Rakhta Hai Ke Be-Ikhteyar Hai ??? Aur Teesri Baat Darmiyan Me Nahi Agar Ba-Ikhtiyar Kahe Tou Qadriyah Hote Hai Aur Be- Ikhteyar Kahe Tou Jabriyah Hote Hai. Pas Mazhab Darmiyan Jabr Aur Qadr Ke Jo Kahaa Hai Woh Kya Hai???

Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Farmaya Ki "Yeh Masla Agle Ulmaa Ko Bhi Mushkil Tha Lekin Ba-Zahir Aysa Ma'alum Hota Hai Ke Insan Ko Ikhteyar Zaheri Hai Aur Jabr Ma'anwi Hai.Jaysa Ke Muqaddamah Yazdawi Me Hazrat Imam Fakhr-Ul-Islam Ne Farmaya Hai. "Ikhtiyar Bil-Surat Wa Jabr Fil-Ma'aani" Woh Talib-E-Ilm Apne Ghurur-E-Ilm Se Dalaail Na-Ma'aqul Pesh Kerne Laga. Hazrat Mehboob E Yazdani Ko Na Samjha Uski Murad Apni Ilmi Qabeliyet Zahir Kerna Thi Aur Uski Baa'z Baato Se Hasad Ki Boo Aati Thi..!!
Hazrat Mehboob E Yazdani Ne Har Baat Ka Jawab Diya Yahan Tek Dalaail Aur Bahas Ko Tawalat Hui Ke Us Talib-E-Ilm Se Koi Kalmah Khilaf-E- Adab Zahir Huwa Aur Hazrat Mehboob E Yazdani Ke Chehra-E- Mubarak Per Tajalli-E-Ism-Ul-Qahhar Zahir Huwi! Farmaya Ki "Abhi Teri Zuban Kaam Ker Rahi Hai..?" Yeh Farmate Hee Us Shakhs Ki Zuban Uski Munh Se Latak Padee..!! Phir Baat Kerne Ki Taqat Na Rahi..!! Tamam Hazerin-E-Majlis Es Waqe'aah Ko Dekh Ker Hayrat Me The Aur Hazrat Ke Samne Ma'azerat Ker Rahe The. Us Talib-E-Ilm Ki Maa Ek Gharib Budhiya Thi. Es Khabar Ko Sun Ker Hazrat Mehboob E Yazdani Ki Khidmat Me Hazir Hui Aur Nehayet Aajezi Wa Alhaah Se Ro-Ro Ker Arz Kerne Lagi. Hazrat Mera Yehi Ek Ladka Hai Aur Hindi Zuban Me Woh Arz Kerne Lagi. "Poot Bheek De" Jab Us Budhiya Maa Ki Aah Wa Zaari Hadd Se Ziyada Guzri Tou Farmaya Ke. "Teer Nishaane Per Pahuncha Huwa Wapas Nahi Aata Lekin Uski Zuban Uske Munh Ke Andar Aa Jayegi..!!
Magar Aasaar-E-Luknat Uski Zuban Se Na Jayega Balke Uski Jo Aoulad Payda Hogi Woh Bhi Hakli Payda Hogi Aur Koi Aalim Es Kasbe Me Zinda Na Rahega. Hazrat Maulana Nizamuddin Yamni Farmate Hai Ki Baad Chand Muddat Ke Mai Us Kasbe Me Gaya. Daryaft Kiya Tou Ma'alum Huwa Ke Woh Be-Adab Mar Gaya Uska Ek Ladka Moujud Hai., Uski Zuban Me Luknat Hai Aur Jo Kasbah Ulma Wa Foozla Se Bhara Huwa Tha Veeran Ho Gaya Baa'z Ulma Mar Gaye Aur Baa'z Ka Ilm Faramosh Ho Gaya Allah Tabarak Wa Ta'ala Har Shakhs Ko Buzurgaan-E-Deen Ki Khidmat Me Ba-Adab Rakhe..!!
Baa-Adab Baa-Nasib
Be-Adab Bad-Nasib
 (Sahaaif-E-Ashrafi/Page No.232-33)

Dil Ki Baat
Hazrat Abul Fazl Nizamuddeen Yamani Rahmatullahe Ta'ala Alaihe Jame Lataaif-E-Ashrafi " Apna Haal Yu'n Bayan Karte Hain Ke Ek Maqam Par Mera Guzar Hua, Ittafaqan Meri Nazar Ek Khubsurat Aurat Par Parhi Mera Dil Uske Ishq Mein Aisa Giraftar Hua Ke Uski Wajah Se Khana Peena Chhut Gaya, Yeh Raaz Kisi Par Zaahir Nahin Tha Jab Hasbe Maamul Mahboob-E-Yazdani Ki Khidmat Mein Haazir Hua, Jaise Hi Huzoor Ki Nazar Mujh Par Padi Aap Muskuraye Aur Qissa Ishqe Majnu Zuban Par Aaya Farmaya Ke Allah Ta'ala Ne Majnu Ko Sharfe Ishqe Haqeeqi Se Musharraf Farmaya Tha, Dusro'n Ke Liye Aisa Ishq Majazi Nuksan Pahonchata Hai.
Hazrat Ke Farmate Hi Mere Dil Se Us Aurat Ka Ishq Jaata Raha Yeh Aapke Tasarruf Ka Asar Tha Warna Aatishe Ishq Ka Jaana Muhaal Hai.
(Sahaaif-E-Ashrafi Jild 1 Safa No.251)

Mureedon ke Liye KhushKhabri
770 Hijri Ko Mahboob-E-Yazdani Maqam E Roohabad Mein The Ke Ek Kaseer Jama'at, Das Hazaar (10,000) Aadmiyo Ki Mahboob-E-Yazdani Ke Daste Mubarak Par Sharf E Iradat Se Musharraf Hue (Mureed Hue)
Tamam Mureedo'n Ke Naam Hasbe Dastur Daftar Mein Likkhe Jaate They Jab Daftar Mureedo'n Ka Bahut Ho Gaya, Khuddam Ne Arz Kiya Ki Kasrat Mureedo aur Khulafa Is Qadar Hai Ke Uski Hifazat
Mushkil Hoti Hai,
Mahboob-E-Yazdani Ne Farmaya Ke Mureedo'n Ka Daftar Utha Lao, Logon Ne Haazir Kiya.
Hazrat Ne Apne Daste Mubarak Mein Daftar Ko Uthaya Aur Ek Ek Warq Paani Mein Dhone Lage Aur Farmaya Ke Maine Unke (Mureedo'n Ke) Gunaho Ke Naam E Aamaal Dho Diya Aur Magfuro'n Mein Unke Naam Likkhe Gaye Hain, Haq Ta'ala Se Maine Khwahish Ki Hai Ke Koi Shaher Aur Koi Zameen Aur Koi Jangal Purab, Pachhim, Utar, Dakhan Mein Mere Mureed O Khulfa Honge Magar Dozakh Mein Koi Mera Mureed O Khalifa Nazar Nahin Aayenge.
(Sahaaif E Ashrafi Jild 1 Safa No.145)

Khandan Chisht Ahle Bahisht
Hazrat Mahboob E Yazdani Gaus Ul Aalam Sultan Syed Makhdoom Ashraf Ne Farmaya Ke Har Is Faqeer Ko Is Qadar Mashaikh E Kasira Se Faiz Haasil Hua Hai Ke Jiski Sharah Had Se Bahaar Hai Lekin Yeh Banda Khaash Parwarish Yafta Khandan E Chisht Ahle Bahisht Ka Hai.

                                                          (Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No 37)

No comments:

Post a Comment