Saturday 19 September 2015

Introduction of Syed Sultan Makhdoom Ashraf Jahngir Simnani


GAUS UL AALAM MEHBOOB E YAZDANI
MAKHDOOM SULTAN SYED ASHRAF JAHANGIR SIMNANI ALAIHIR RAHMA

KI SO (100) SAALA HAYAT E MUQADASA PAR
EK IJMALI NAZAR

Silsila Ashrafia ke Baani Hazrat Qutubul Aqtab Gausul Aalam Mahboob e Yazdani Makhdoom Syed Maulana Auhaduddin Sultan Ashrafi Jahangir Simani Quddus Sirrahu ki Zaat Grami Agarche Kisi Rasmi Ta'Aaruf ke Muhtaaj Nahi hai Magar Qarieen ke zauqe Basarat aur apne is risaale ki Sa'Aadat ke liye ham unke zikr khair se Musharraf karte hain.

Walid Majid ka Name Mubrak
Sultan Syed Ibrahim Noor Bakhshi Samani (King of Simnan, Iran)
Sulatn Syed Ibrahim Alaihir Rahma (723 Hijri) Hadde Darja Kareemun Nafs aur Insaniyat Nawaaz the. Unka Taqwaa aur Ikhlas e Bil Amal ka Jazbaa Shahr e Simnan me Zurbul Misl tha. Deen se Unki Ghair Mamooli Wabistagi ki yah Aek Tabnaak Misal hai ki Unke Ahd (Government) me Hazaron Tishnagaane Iim dafn Manzile Maqsood par Pahunche aur Ulama o Mashaikh ke liye Unhone hamesha Apni Aqeedat ka Daaman phailaye Rakha.

Sultan Ibrahim Alaihir Rahma ne madarise Islamiya ki Sarparasti ke Sath Khankahon ki tamer o Taraqqi me bhi Numaya Hissa liya, Chunanche Simna ke Mash'hoor Khankah Sakkakiya ki dubara Tameer o Tausee sultan Ibrahim hi ki daste Karam se howi Jisko Hazrat Shaikh Alaauddaulaa Simnani Alaihir Rahma ne Aek Arse tak Apne Aurad o Wazaaif aur Rushd o Hidayat se Rawannaq Bakhsi. Khankah Mazkoora par Rozana so Dinar (100) kharch hote the.
(Lataife Ashrafi Jild 1 Page 2, Jild 2 Page 90-91, Ghausul Alam Page 12)

Walida Majida
Hazrat Bibi Khadija Begam Bint e Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi
Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi Alaihir Rahma (562 Hijri-1166 AD.) Tukistan ke Silsilaa e Khwajgaan ke Mash'hoor Buzurg the aur unka Shumaar Muqtadaa e Kamileen me tha. Sahibe Tarkhe Mashaikhe Chisht ne likha hai ki Woh Ataaliswi ke Naam se Mash'hoor the. "Ataa" Turkey ki Zuban me Baap ko Kahte hain.

                                                          (Tarikhe Mashaikh e Chist 216)
Aur Turkishtan ke Muqaam Yasi ki Nisbat se Yaswi Kahlaye. Hazrat Khawaja Ahmad Yashwi Alaihir Rahma, Hazrat Khwaja Yusuf Hamdani Alaihir Rahma ke Mureed o Khalifaa the. Jinke Bare me Nufhatul Ins ke Alfaz yah hain ki…
امام عالم وعارف ربانی صاحب الاحوال والمواھب الجزیلۃ
والکرامات والمقامات الجلیلہ


Hazrat Khawaja Yousuf Hamdani ke Char Jaleelul Qadr Khalifa the, Un me se Hazrat Khwaja Ahmad Yaswi Alaihirrahma Tableegh o Asha'at e Deen ke Khatir Turkistan pahunche aur Apne Silsila e Aradat o Bait ko Khoob Phailaya.
(Nufhatul Ins Page: 337-339, Khazeenatul Asfia Page: 531-532)


Syed Ashraf Jahangir Simnani Radi Allahu Anh Bin Syed Muhammad Ibrahim  bamuqaam Simnan (Kharasaan) jo unke walid ke zere Hakoomat tha paida huwe unki Walida Majid Khawaaja Ahmad Yaswi Alaihirrahman kee Beti (Doughter) the.
(Syed Ashraf Jahagir Simnan ki Ilmi Dini aur Ruhani Khidmat ka Tahqeeqi Jaizah Page No. 04)

Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Simani RadiAllahu Anh Saaton (Seven) Qiraton Ke Hafiz the aur unhone apni taleem 14 saal ki Umr me Khatm kar li thi. Tasawwuf se Shagf unhain Kusha kusha Alaaudaula Simnani Alahirrahma ki Khidmat me le gyaa jo apne waqt ke mashhoor sufi the. Unhi kee khidmat me woh aksar hazir rahte the apne walid ke wisal pr woh riyasat ke waris huwe magar thode hi dino baad apne bhai Muhammad Aaraf ko Takht supurd karke Saltanat se dast bardaar ho gye aur Hindustan ki taraf chal pade jis ki unhain Khawab me hidayat ki gyi thi Mawaraunnahar se hote huwe woh Bukhara aur Samaqand gye wahan se Aochh Pahunche Jahan unki Mulaqaat Makhdoom Jalal Uddin Bukhari se huwi jo jahan jahaniya Gasht ke Laqab se Mashhoor hain. Musalsal aur Door o Daraz ke Safar ke baad Jis dauraan Aap Delhi, Sindh o Ganga ke Maidani Elaqe aur Bihar, Bangal, Sunar Gaun (Jo Dhaka ke Nawaah me hai) bhi gye. Anjaam kaar aap RoohAbaad (Kichhichha Sharif Ka Purana Naam) Faizabad se 53 Meel (Miles) par Aek Gauon me Muqeem ho gye. Kichhauchha Sharif me Sakunat Ikhtiyar karne ke Baad Kuch din rah kar phir Aap Rooye Zameen ki Sair o Sayahat ko Nikle. Es Martaba Aap Makka Sharif, Madina Sharif, Karbaal Muallah, Najaf Ashraf, Turkey, Damishq, Baghdad, Kashan, Simnan, Mash'had wagairah se hote huwe Barahe raasta Multan o Delhi RoohAbaad Pahunche Anjaam Kaar Unhone wahin 28 Muharramul Haram 408 July 1405 A.D me Wafaat paayi aur Apni hi Khanqaah me Suparde Khak kye gye.
(Urdu Dairah Mu'aarif Islamia Part 02)

Hazrat Ghausul Aalam Mahboob Yazdani
Makhdoom Sultan Syed Ashraf Jahangir Simnani Quddus Sirrah Ki So Saala (Hundred Years) Hayat e Mubarkah Par AeK Ijmali Nazar

708 Hajri
Paidaish Ki Saal Hai Aur Sirf 05 Saal Ki Umr Mein Qirate Sab'aa Mein Quran Kareem Hifz Kiya.

722 Hijri
Takmeel E Uloom O Funoon 14 Saal Ki Umr Mein.

723 Hijri
          Takht Nashini (King of Sinmnan Iran) Walide Muhtaram Ke Wisal Ke Baad.
Hazrat Sultan Syed Makhdoom Ashraf, Gaus Ul Aalam Mehboob E Yazdani Ne Khidmat E Babarkat Walidah Majidah Mein Haazir Ho Kar Ijazat Talb Kee Ki Agar Hukm Ho To Main es Saltanat E Duniya Ko Tark Kar Ke Faqr Ikhtiyar Karun Aur Badshat Mulke Aakhirat Haasil Karun, Hazrat Ki Walidah Ne Farmaya "Ay Farzand Tum Paida Bhi Nahin Hue They Usse Pehle Hamare Jadde Amjad Sultan Ul Aarifeen Khwaja Syed Ahmad Rahmatullah Alaihe Ne Khwab Mein Basharat Di Thi Ke Tum Ko Aisa Farzand Nasib Hoga, Dunia Uski Aaftab E Wilayat Ki Chamak Se Roshan Ho Jaayegi Aur Uski Noor E Hidayat Ki Badolat Jahan Se Gumrahi Mitjaayegi.
                                                (Sahaefe Ashrafi Safa Jild 1 Safa No.73)

733 Hijri 
Tarke Saltanat (Badshahat Chhodna) Muddate Khilafat 10 Saal.

735 Hijri
Baiat O Khilafat Simnan Se Pandwa Shareef Ka Faasla 2 Saal Mein Tamam Hua. 735 Hijri Se 741 Hijri (6 Saal) Pehla Qiyaam Pandwa Shareef.

742 Hijri
Rawangi Pandwa Shareef Se.
742-43 Hijri (Ahde Saltanat Tuglaqya)
Jonpur Mein Pehli Aamad. Yaha'n Se Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Program Banaya Aur Ek Arsaa Tak Bilade Sharqiya Wa Mamalike Islamiya Ki Sair Farmate Rahe Jaziratul  Arab Ke Alawa "Misr" Rom" Shaam" Iraq" Aur Turkistan Ke Mukhtalif  Ilaqo Aur Shahron  Mein Bhi Aapka Guzar Hua Aur Us Waqt Ke Jumla Mashaikhe Izam Aur Auliya E Kabaar Se Aapne Fayuz Wa Barkaat Hasil Kiye.

750 Hijri
Mein Haji Nizam Yamni Moallif "Lataif E Ashrafi" Hazrat Gaus Ul Aalam Ke Silsila Iradat Mein Daakhil Huwe Jo Hazrat Ke Safar O Hazr Mein Aakhri Dum Tak Saath Rahe.

758 Hijri
Hindustan Wapsi Mamalike Sharqiya Ki Pehli Sayahat Ka Zamana Pandra (15) Saal Qayaas Kiya Gaya Hai. Bilaad e Sharqiya Ki Wapsi Ke Baad Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Dusri Baar Safar Pandwa Shareef Ikhtiyar Kiya Aur 04 Saal Tak Apne Peer O Murshid Ke Fuyuz O Barkaat Hasil Farma Kar Harmain Shareefain Ki Ziyarat Ka Do Baara Qasd Kiya Issi Safar Mein Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Geelan (Jilaan) Pahonche Aur Apne Bhanje Syed Abdur Razzaq Noorul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Farmaya Yeh Hijri 764-65 Ka Waqia Hai.

764 Hijri
Ke Safar Ke Dauran Aap Apni Khala Zaad Bahen Ki Mulaqat Ke Liye Gilan Pahonche Aur Apne Bhanje Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain Ko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya.
(Ref. Hayat E Gaus Ul Aalam Safa No.93)

768 Hijri
Hindustan Ko Dubara Wapsi (Mamalike Sharqiya Ki Dusri Sayahat Galiban 10 Saal Par Mushtamil Hai).
770 Hijri
Mansab E Gausiyat Par Faiz Hona Bamuqam Gulbarga Shareef.

782 Hijri 
Mehboob E Yazdani Ka Khitab Mila Bamuqam Rooha Baad Kichauchha Shareef Ussi Saal (Year) Mein Hazrat Gaus Ul Aalam Ne Teesri Baar Apne Murshid Ka Niyaz Hasil Karne Ki Garaz
Se Pandwa Shareef Ka Safar Kiya. Jab Aap Qasba Muneer Sharif Bihar (Near Patna) Pahunche to Makhdoom e Bihar Hazrat Shaikh Sharfuddin Yahiya Muneri Alaihirrahma Ka Intiqaal Ho chuka tha. Aap Ne Hazrat Shaikh ki wasiyat ke Mutabiq Namaze Janazah Padhai aur Hazrat e Shaikh ke Fuyooz e Ruhani se Malaa Maal hokar Pandwa Sharif Ki Janib Rawana Huwe.

793 Hijri
Tameer e Aastana e Aaliya Ashrafia (Madda e Tarikh "Arshe Akbar hai)

810-803 Hijri
Pandawa Sharif me Aakhri Baar Hajri aur Qiyam ( Baad e Wafat Peer o Murshid aur Ba waqt Jan Nashen e Peer Zada Hazrat Qutub Aqtab Noor Qutub Aalam Pandawi)

804-805
Haijri Jonpur Mein Dusri Aamad (Ahad Sultan Ibrahim Saljoqi)

808 Hijri
 Mustaqil Qiyam RoohAbad ta Wisal E Mubarak
28 Muharramul Haraam 808 Hijri
.
Mazaar Sharif Roohabad Kichauchha Shareef India.
(Ref. Gaus Ul Aalam & Sahaefe Ashrafi)
Aamad E Makhdoom Ashraf Jahaan'gir Simnani Ki Khabar
Ba-Zubane Sultanul Hind Khwaja Gharib Nawaz

Risala Ghousiya me Sultan Ul Hind, Khwaja E Khwajgaan, Hazrat Khwaja Moin-Ud-Din Hasan Chishti Ajmeri Alayhirrahmato Wa Ridwaan Tehreer Farmate Hain..!!

"Mere Silsile Me Ek Ghous "Jahaan'geer" Paida Hoga Aur Woh Tarakki Ke Saath Mere Silsile Ko Jaari Karega...!"
(Ref: Risala Ghousiya)

Huzur  Ashraf  Simnaa  Ke Naam  Ka Sadqa
Hamari Jholiya Bhar Dijiye Ya Garib Nawaz

Aabad Rahe Ashraf Kaa Chaman
Ya Khwaja Moeen-Ud-Din Hasan

Khandan e Ashraf e Simna
 Aur
 Mahmood Ghanavi
Mahboob E Yazdani Syed Makhdoom Ashraf Ne Rasala "Ashraf Ul Fawaid" Mein Farmaya Hai Ke Mere Khandan Ki Azmat Aur Shaan Buland Hai Yaha'n Se Tasawwur Karna Chahiye Ke Mahmoud Ghaznawi Jaise Badshah Hamare Buzurgon Ke Ghulam Zaado Ne Saltanat Aur Badshahat Ki Hai.
(Ref: Ashraf Ul Fawaid")

Hazrat Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Ka Ilm Ajeeb Khudadaad Ilm Tha Ki Aap Rooye Zameen Mein Jaha'n Tashreef Le Gaye Wahi'n Ki Zuban Mein Taqreer Karte Aur Ussi Zuban Mein Kitab Likkh Ka Waha'n  Ke Logon Ke Liye Chhod Aate.
              (Sahaefe Ashrafi Jild 1 Safa No.115)

No comments:

Post a Comment