Monday 28 September 2015

Haji Syed Abdur Razzaque Noorul Ain Ashrafi Jilani

Hazrat Syed Abdur Razzaq Noorulain
Sahabe Sajjada Syed Ashraf Jahageer Simnani
RadiAllah Anh
Syed Ashraf Jahangeer Simnani ne Zindagi Tajarrud me Guzari isliye Aapke Salaasil Nasbi aur Bait Aap ke Farzind e Man'wi aur Khaleefa e Barhaq Hazrat Syed Abdurrazzaque Noorul Ain Radillahu Anh se Chalte hain. Hazrat Syed Abdurrazzaque Noorul Ain Radillahu Anh Hazrat Ghausul Aazam Syeduna Shaikh Abdul Qadir Jilani Hasani Husain RadiAllahu Anh ki Aulaad me se hain. Hazrat Noorul Ain ke waliden ne unhain Bachpan hi me Syed Ashraf Jahangir simnani ke supurd kar diya tha aur Irshad farmaya "inki Aulaad meri Aulaad hai" Yahi Wajah hai ki Aaj bhi Hazrat Noorul Ain Ki Aulaad Syed Ashraf Jahangir Simnani ki Aulaad kahlaati hai.

Shajra e Nasab
Huzoor Muhammad Mustafa Sallallahualaihiwasallam
Syedatuna Fatematuz Zahra Radiyallahuanha
Imam Hassan Mujtaba Radiyallahuanhu
Syeduna Hasanul Mussana Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullah Mahaz Radiyallahuanhu
Syeduna Musa Joon Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullah Saani Radiyallahuanhu
Syedna Musa Saani Radiyallahuanhu
Syedna Daud Radiyallahuanhu
Syedna Syed Muhammad Radiyallahuanhu
Syedna Yahya Zahid Radiyallahuanhu
Syeduna Abdullahil Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Saaleh Musa Jangi Dost Radiyallahuanhu
Mahboobus Subhani Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahuanhu
Syedna Abu Bakrin Tajuddeen Abdur Razzaq Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Saaleh Imaduddeen Radiyallahuanhu
Syeduna Abu Nasr Muhammad Radiyallahuanhu
Syeduna Saifuddeen Yahya Hamaviyu Radiyallahuanhu
Syeduna Shamsudeen Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Alauddeen Ali Radiyallahuanhu
Syedna Badruddeen Hassan Radiyallahuanhu
Syedna Abul Abbas Ahmad Radiyallahuanhu
Syedna Abdul Gafur Jeeli Radiyallahuanhu
Syeduna Syed Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahuanhu
Note: Sadate Kichauchha Sharif Ka Nasab Hazrat Syed Abdur Razzaq Noor Ul Aain Se Milta Hai.
(Ref: Shajra Silsila Aalia Qadira Ashrafia)


Aulad e Ghause Azam
Hazrat Sayyedna Makhdoom Abdur Razzaq Noorul Ain Radiyallahu Anhu Aulad E Gous E Aazam He :-

1. Qutb E Rabbani Gous E Samdani Sultan Mira Mohyuddin Shaikh Abdul Qadir Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

2. Hazrat Sayyedna Taajuddin Abdur Razzaq Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

3. Hazrat Sayyed Abu Swaleh Nasr Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

4. Hazrat Sayyed Abu Nasr Mohammad Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

5. Hazrat Sayyed Zahiruddin Ahmed Jilani Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

6. Hazrat Sayyed Saifuddin Yahya Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

7. Hazrat Sayyed Shamshuddin Mohammad Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

8. Hazrat Sayyed Alauddin Ali Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

9. Hazrat Sayyed Badruddin Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

10. Hazrat Sayyed Abul Abbas Ahmed Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

11. Hazrat Sayyed Abdul Gafoor Hasan Jilani Hamvi Radiyallahu Anhu…. Aapke Shehzade…

12. Hazrat Sayyed Abdur Razzaq Noorul Ain Jilani Ashrafi Radiyallahu Anhu…
(Ref: Shajra Silsila Aalia Qadira Ashrafia)
Aala Hazrat Farmate Hain …
“Teri Nasl e Paak Me He Bachcha Bachcha Noor Ka
Tu He Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka”

Alaaul Haque Alaihirrahma Ki Pashangoi

Hazrat Makhdoom Ala-Ul-Haq Pandvi Ganj E Nabaat Alayhirrahmahto Wa Ridwaan Ne Kamal E Basharat Ke Saath Apne Murid E Khas Hazrat Mehboob-E-Yazdani Se Irshad Farmaya Ki.
Saiyyed (Syed Makhdoom ashraf Jahangir Simnani) Mubarak Ho Tumhare Farzand E Dini Ke Liye Baargaah E Parwardigar Me Khwahish Kee Hai Ke Tumhare Waste Farzand Sar-E-Halqa-E-Silsila Aur Tumhare Khandan Ka Peshwah Ho Aur Tumhara Naam Zamane Me Is Farzand Se Roushan Ho. Aur Woh Farzand Tumhare Khandan Ka Hoga !!!

Khwaja Naqshband Alaihirrahma Se Mulaqat

Hazrat Mahboob E Yazdani Awwal Safar Mein Iraq Se Sahabzadh Noor Ul Aain Ko Saath Liye Shaher Bukhara Mein Tashreef Laaye Aur Khwaja Naqshband Rahmatullahe Ta'ala Se Mulaqat Hui Toh Aapne Puchha, Baccha Kaun Hai? Hazrat Mahboob E Yazdani Ne Arz Kiya Ke Mera Farzand Hai Aur Maine Inko Apni Farzandi Mein Qubool Kiya Hai Yeh Ladka Aoulade Gaus Ul Saqlain Se hai.
(Sahaaif E Ashrafi Jild 2 Safa No., 65)

Taleem o Tarbiyat
Mahboob Yazdani Syed Ashraf Jahangeer Simnani ne inki Taleem o tarbiyat par khusosi tawwajah di aur aksar uloom o funoon khud unhain padhaay Khusoosan Ilm e Tasawwuf o tariqat ki taleem di aur apni suh'bat e Ba faiz se mustafeez farmaya. Syed Ashraf Jahangeer simanani Maktoobate Ashrafi Me farmate hain ki…
"Silsila Noor Bakhshiya me sattar (70) Ashkas ne is durwesh se Aek Saal me Quraan Paak ka Hifz kiya jin me bandah Abdurrazzaque Noorul Ain ne bhi Aek saal ke dauraan Makhdoom Khidmat me Quraan Paak ko Qirat e Saba'a ke sath Hifz kiya Is ke baad Uloom e Sharaiya o Usool e Faraiyaa ko Hasil kiya.
(Ref: Lataife Ashrafi Part 3 By Nizam Yamani)
Isse Pata chalaa ki Syed Abdurrazzaque Noorul Aen Al Hasani Al- Hussain Hafize Quraan bhi the aur aap ne Ghausul Aalam  Mahboobe Yazdani Syed Ashraf Jahangir Simnani ki Zer e Nigraani Quraan Paak Saba'a qira'at se Hifz kiya iske baad deegar Uloom o funoon hasil kiye.


Khidmat e Peer o Murshid
Jaame Lataif E Ashraf (Hazrat Nizam Yamani Rahmatullah Alaih) Qareeb tees (30) Saal Safar Aur Hazar Me Haazir E Khidmat Rahe Us Muddat Mein Kabhi Yaad Nahin Ki Hazrat Makhdoom Ashraf Ne Koi Hukm Farmaya Ho Aur Hazrat Syed Abdur Razzaq Noorulain Ke Siwa Dusre Ne Uski Baja Aawri Mein Sabqat Ki Ho.
(Lataif E Ashrafi Jild 7 Safa No.172)

Noorul Ain" Khitaab Ki Wajah
Syed Abdurraque Noorul Ain ke Kyi Alqaab the. "Noorul Ain, Qurratul Ain, Shaikhul Islam, Makhdoomul Aafaque wagairah lekin inme "Noorul Ain" hi Mash'hoor huwe.
Ek Martaba Hazrat Makhoom Sayyed Ashraf Jahaangir Simnani Radiyallahu Anhu Ke Saamne Buzurg Zaadgi Ka Zikr Aaya To Aapne Farmaya…. "Buzurgzaade Buzurg Logo Ke Tarike Par Kam Paaye Jaate Hai Aur Mai Aesa Buzurgzaada Rakhta Hu Ke Wo Buzurgzaada Hi Nahi Balke Uska Kaam Buzurg Paida Karna Hai. "
"Aur Log Aulad Ko Pusht Se Paida Karte Hai Aur Maine To Noorul Ain Ko Aankho Se Paida Kiya Hai." Aur Ek She'ar Hazrat Makhdum Paak Radiyallahu Anhu Ki Zabaan Mubarak Se Nikla Jiska Tarjuma Ye Hai Ki…
"Maine Apni Aankho Ke Noor Se Kya Noor Dekha Hai Jo Meri Aankho Ka Noor Ban Gaya."
Us Din se Aapka Khitaab "Noorul Ain" Ho Gaya."
  (Ref. Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Simnani)

Shaikhul-Islam Ka      Laqab
Hazrat Syed Abdurrazzaque ka Aek Laqab "Shaikhul Isalm" bhi hai jo apne waqt ke Jaleelul Qadr Buzurg Hazrat Shaikh Qaseen Quddus sirrah ne Aap ko Ataa farmaya tha Hazrat Shaikh Qaseem Turkistan ke Mashaikh me se the aur Tariqat me buland Maqaam rakhte the Apki Ruhani Azmat o shan ka andaza is se lagaya ja sakta hai ki Hazrat Bahauddin Naqshaband aur syed Ashraf Jahangir Simnani jaise Shahbaaz e Tariqat ne un se faiz hasil kiya. Syed Ashraf jahangeer farmate hain "jab Farzind  Syed Abdurrazzaque NoorulAin ko lekar Hazrat Qaseem ki Khidmat me hazir huwa to unhone Hasb o Nasb ke bare me Daryaft kya maine Arz kiya ki Saadat zel se hain aur Hazrat Ghause Azam Shaikh Abdul Qadir Jilani RadiAllah Anh ke Aulad se hain maine unhain apna farzind bana liya hai aur sab hi mashaikh ne inko qubool kiya hai Farmaya ki hamne bhi Qubool kiya ki Tumhara Farzind Hamara farzind hai Haq ta'alaa se ham  ne duaa ki hai ki yah apne zamane ke Shaikhul Islam hoon In Sha Allah.

(Ref: lataife Ashrafi Jild 2)

No comments:

Post a Comment